Feb 10, 2025
Feb 10, 2025
This little piece of poetry is dedicated to my dearest Bua, a loving aunt, an amazing baker and highlighting her biggest weakness *wink* ;)
Aayi Bua kitchen mein kehte hue,
"Aaj chicken banaungi mein!"
Vahan mili hamari pyari Aai,
Kar rahi thi shelf ki safai.
"Tik" karke switch, unhone jalai light.
Kisi ne kia Bua ko chota sa bite.
"Aaah!" kamre se chikhne ki awaaz aayi,
Aur aaye bhaagte hue Phupa ke naayi.
Naayi nahi kat paya Phupa ki mooch,
Aur darwaze ke peeche thi ek lambi poonch.
Haath se gir gaya jar of pickle,
Jab Bua ko hua thora sa tickle.
"Aaaaaaahhhhh!" ghar se nikli ek cheekh,
Padosi aaye dekhne ki kya hain sab theek?
Chupi thi dewaar ke peeche,
Upar se gir gayi neeche.
Khaati thi machhar, mitane ke liye bhook,
Darr jaati simply maarene se ek phook.
Bua hain township ki leader,
Hain very very brave aur bilkul nidarr.
Aaj tak rahi yeh hi ek pehli,
Ki woh to hai hamari saheli!
Nikli wo ek cute mishri ki dali
wo thi Bua ki dost - Chipkali.
![]() |
This poem had me laughing out loud .Thanks for sharing Aanvi. Love and hugs |